Zikr Uska (Prasoon Joshi’s poem for the legendary Dilip Kumar)
Zikr Uska was written by Prasoon Joshi for the legendary Dilip Kumar during the launch of his biography. The poem, on the day of book release, was recited by Aamir Khan. Here’s the poem for you:
Zikr Uska
Guzaarish hai havaaon ki hamein suraj se milvao
Hamein bhi roshni ke kaafilon ke saath le jao
Hamein maloom hain apni hadein Hum kaise kuch bolenÂ
Khili ho dhoop to nacheez deepak kaise muh khole
Magar mausam ki zid hai, phool bhi israar karte hainÂ
Unhe milna hai sooraj se vo usko pyaar karte hainÂ
Chalo karte hain koshish aaj uska zikr karte hain
Ujaalon ke samandar mein zara sa hum utarte hain
Ajab sa ye  samandar hai jo tum se milne aata hai
Khuda rahna nahin chaahta tumhaare saath gaata hai
Samandar ko nahin maloom uska dil kahan tak hai
Use to khatra khatra bus chalak jaane ki aadat hai
Use tha aasma choona magar apni hi sharton par
Use tha jeetna vo bhi magar apni hi sharton par
Vo aisi roshni chahta tha jisme ho na angaare
Vo aisi jeet chahta tha jahan koi bhi na haare
Darakhton ke usoolon ko samajhne ki karo koshishÂ
Alag mitti se bante hain alag hai unki har khwaahishÂ
Vo gamle ka nahin podha jahan chaahe uga do tumÂ
jahan chaahe laga do tum jahan chaahe saja do tum
Vo ugte hain zamen pe dil ki dil mein hi dhadakte hainÂ
Vo logon se jude hain aur unme hi zinda rahte hain
Chamakti cheez ko choone ko duniya paas aati hai
Vo shohrat paas jiske sur mein uske sur milaati haiÂ
Magar sooraj utarta hai to bheedein chathti jaati hain
Kahin sajde. kahin izzat, ibaadat, muskuraati hai
Ise shohrat nahin kahte bus uska noor kahte hain
Bulandi bhi nahin kahte karam bharpoor kahte hainÂ
Vo kahta hai mere hisse ki khushiyan baant do jaakar
Hai jitna dard sab bhar do mere seene mein tum laakar
Meri jholi mein jo aayega main vo sab lutaaongaÂ
jahan se jo mila hai sab jahan ko dekar jaoongaÂ
Mili sab ko zubaan par aankh uski baat karti hai
Mile sohbat agar uski to khamoshi bhi kahti hai
Bus uska zikr karne se savarte jaayenge hum bhi
Dhulenge uski baarish mein nikharte jaayenge hum bhi
Savarte jayenge hum bhiÂ
Nikharte jaayenge hum bhi…
Nikharte jaayenge hum bhi…