Samjho Kuch Galat Hai

‘Samjho Kuch Galat Hai’ was penned down to pay homage to the Peshawar massacre victims. The poem was written exclusively for Hindustan Times.

Jub bachpan tumhari goud mein aaney se katrane lage
Jub maa ki kokh se jhankti zindagi bahar aaney se ghabrane lage
Samjho kuch ghalat hai
Jub talwarein phoolon par zor aazmane lagein
Jub masoom ankhon mein khauf nazar aane lage
Samjho kuch ghalat hai

Jub oos ki boondon ko hatheliyon pe nahin hathiyaron ki nok par theherna ho
Jub nanhe nanhe talwon ko aag se guzarna ho
Samjho kuch ghalat hai
Jub kilkariyan sahem jayein
Jub totli boliyan khamosh ho jayein
Samjho kuch ghalat hai

Khuch nahin bahut kuch ghalat hai
Kyonki zor se barish honi chahiye thi
Poori duniya mein
Har jagah tapakne chahiye the aansoo
Rona chaiye tha upar wale ko
Aasman se
Phoot phoot kar
Sharm se jhukni chaiye thein insaani sabhyata ki gardanein
Shok nahin soch ka waqt hai
Matam nahin sawalon ka waqt hai
Agar iske baad bhi sar utha kar khada ho sakta hai insaan
Toh samjho kuch ghalat hai.