Khul Ke Muskura Le Tu

Khul ke muskurale tu dard ko sharmane de
Boondon ko dharti par saaz ek bajane de
Hawayen keh rahi hain, aaja jhoolein zara
Gagan ke gaal ko chal jaake chhoo lein zara

Jheel ek aadat hai, tujhme hi to rehti hai
aur nadee shararat hai, tere sang behti hai
Utaar Gham ke mozay, zameen ko gungunane de
Kankaron ko talwon mein gudgudee machane de

Bansuree ki khidkiyon pe sur yeh kyon thithakte hain
Aankh ke samandar kyun bewajah chhalakte hain
Titliyan yeh kehti hain ab vasant aane de
Jangalon ke mausam ko bastiyon mein chhaane de..
Hawayen keh rahi hain, aaja jhoolein zara
Gagan ke gaal ko chal jaake chhoo lein zara

Khul ke muskurale tu dard ko sharmane de
Boondon ko dharti par saaz ek bajane de

To know the story behind this song and other popular poems of Prasoon Joshi, buy Dhoop Ke Sikkey here